Bewafa Shayari in English​ is the voice of the heart of those who have been cheated and unfaithful in love. This poem beautifully describes the feelings of grief, sadness, and a broken heart. If you have ever trusted someone and got hurt in return, this Bewafa Shayari in English will reflect your feelings perfectly. Read these painful poems and express your heart condition. 4 Lines Bewafa Shayari in English​ | 2 Lines Bewafa Shayari in English​ | Heart-Touching Bewafa Shayari in English​ | Sad Bewafa Shayari in English​ | Intezar Poetry in Urdu

Bewafa Shayari in English​ – Heartbreaking Lines of Betrayal

Uske chehre par iss qadar noor tha,
Keh uski yaad mein rona hi manzoor tha,
Bewafa bhi nahi keh sakte usko faraz,
Piyaar toh humne kiya hai wo toh beqasoor tha.
Jaane us shaks ko kaisa yeh hunar aata hai,
Raat hoti hai toh aankhon mein utar aata hai,
Main uske khiyal se niklu toh kaha jau,
Woh meri soch ke har raaste pe nazar aata hai.
Khiyalon mein wahi sapnu mein wahi,
Lekin unki yaadon mein ham the hi nahi,
Ham jagte rahe duniya soti rahi,
Aik baarish hi thi jo humare sath roti rahi.
Unki yaadon ko apne sath lekar,
Ghar se hum hijar ke maare nikle,
Mohabbat toh tumne bhi ki thi janam,
Magar ishq mein saare jurm humare nikle.
Humein na mohabbat mili na piyaar mila,
Ham ko jo bhi mil bewafa yaar mila,
Apni toh ban gayi tamasha zindagi,
Har koi apne maqsad ka talabgar mila.
Hamare muskurane ki waja tum ho,
Hamari zindagi ka matlab tum ho,
Agar chod diya sath humara toh samajh lena,
Ke humari maut ki wajah bhi tum ho.
Sab kuch hai mere pass par dil ki dawa nahi,
Door woh mujh se hai par main khafa nahi,
Maloom hai ab bhi piyaar karta hai mujhe,
Woh thoda ziddi hai magar bewafa nahi.
Jo badal jaye woh yaar kaisa jo chod jaye woh sath kaisa,
Log kehte hain tujhe phir se piyaar ho jaye ga,
Par jo phir se ho jaye woh piyaar kaisa.
Mere pak ishq ko tum ne napak kya hai,
Sahi kehte the yaar dost tumhari aadat ne mujhe kharab kiya hai,
Chen liya hai noor mere chehre se,
Meri hasti khelti zindagi ko azab kya hai.
Sun ley main woh ashiq nahi jo teri,
Bewafai mein tujhe dua dunga,
Meri bad dua hai tumhare bhi shisha jaise zameer ko,
Koi waise hi tode jaise tumne mera toda tha dil.
Aisi bewafai ki us ne,
Muhabbat bhi badnaam ho gayi,
Apni muhabbat ki itni qimat wasool ki us ne,
Keh humari jaan bhi nilaam ho gayi.
Aag dil mein lagi jab woh khafa howe,
Mehsos howa tab jab woh juda howe,
Kar ke wafa kuch de na sake woh,
Par bahot kuch de gaye jab woh bewafa howe.
Situm ko hamne berukhi samajha,
Piyaar ko hamne bandagi samajha,
Tum chahe humein jo bhi samajho,
Hamne toh tumhein apni zindagi samajha.
Tum agar yaad rakho gay toh anayat hogi,
Varna humko kahan tumse shikayat hogi,
Yeh toh bewafa logon ki duniya hai,
Tum agar bhool bhi jao toh rivayat hogi.
Mat zikar kijiye meri aada ke baray mein,
Main bahot kuch janta hun wafa ke baray mein,
Suna hai wo bhi mohabbat ka shuq rakhte hain,
Jo jante hi nahi wafa ke baray mein.

Leave A Reply

Please enter your comment!
Please enter your name here